Pichle 25 salo se Maruti wagonr ek successful hatchback raha hai Indian market me. Lekin 2025 me Tata Tiago Ev ya phir Maruti WagonR lena chahiye? let’s talk about this topic in detail.
In simple words Tata Tiago Ev, Wagnor se accha hai. running cost, build quality aur features ke mamle me compare kiya jayega indono hatchback ko to Tata Tiago bazi mar leta hai.
Tata Tiago me digital instrument cluster, air purifier, apple carplay aur android auto, type c USB charging, 7-inch infotainment system aur 8 speaker wala harman sound system milta hai, jiski wjh se Tiago ka in-cabin experience wagnor ke mukable badhiya ho jata hai.
Kyuki ye ek famliy car hai to sabse important ho jata hai safety, aur GNCAP crash test me tiago ko 4 star rating mila hai whi wagnor ko 1 star rating. aur ek bat aur ki tiago ka running aur maintencnace cost bhi km hai.
in sare reasons ki wjh se Tata Tiago ev Maruti wagonr se jyada accha option hai. lekin abhi tak convince nhi huye hai to ek aur reason hai jo apko convince kar sakta hai Maruti Suzuki Wagonr ki jgh Tata Tiago ev lene ke liye wo hai pricing. chaliye isko smjhte hai.
Car Model
Base Price (Ex-Showroom)
Top Variant Price (Ex-Showroom)
Dhyan dene wali bate
Tata Tiago EV
₹7.99 lakh
₹11.49 lakh
Price varies based on battery size and charging options (medium/long-range).
Maruti Suzuki Wagon R
₹5.54 lakh
₹7.32 lakh
Offers petrol and CNG options, more affordable entry-level variants.
Dekhiye dekhne me Tata Tiago ev Maruti Suzuki WagonR se mehangi lagegi jo ki hai bhi. Lekin apko Tiago Ev stock clearance sale ke dauran lena hai.
Maruti wagnor ko aap 6.5 lakh rupye se lekar 8.64 lakh rupaye tak kharid sakte hai on-road. aur agr aap Tata tiago ko stock clearance sell ke dauran kharidate hai to apko tiago ke long range variant par 2.5 lakh rupaye tak ka chhut mil jayega whi agr mid-range variant lete hai to 1.5 lakh rupaye tak ka chhut mil jayega. matlab ki discount ke bad apko tiago long range variant 8.5 lakh rupaye me mil jayega aur mid range variant 6.5 rupaye on-raod tak me mil jayega.
Abhi aap maruti wagonr ko 6 lakh rupaye se lekar 8 lakh rupaye tak kharid sakte hai, matlab ye hua ki aapko tiago ke liye 50000 rupaye extra dena hoga, lekin iske badle apko acchi build quality, jyada features aur ek safe car milegi wagonr ke mukable. sath-sath low running aur maintenance cost. tata tiago ki battery range bhi acchi apko long-range variant me 350 km ka drive range aur mid-range variant me 250 km tak drive range mil jayega.
Tata Tiago Ev Vs Maruti Suzuki WagonR
Tata Tiago unlogo ke liye jyada accha option hai jo log eco-conscious hai, or jinko modern feature wali aur ek safe car chahiye, joki sabse important hai. Whi Wagon R ek budget friendly option hai jo CNG me available hai. Tata Tiago bhi CNG me available hai. Lekin humlog yaha par Tata Tiago ev aur Maruti Suzuki Wagon R petrol ke bare me bat kar rahe hai, you should know that this is one of the best electric car under 10 lakh.
Feature
Tata Tiago EV
Maruti Suzuki Wagon R
Price (Ex-Showroom)
₹7.99 lakh – ₹11.49 lakh
₹5.54 lakh – ₹7.32 lakh
Engine/Powertrain
Electric (19.2 kWh or 24 kWh battery options)
998 cc or 1197 cc petrol engine (CNG option available)
Power Output
60 bhp (electric motor)
67 bhp (1.0L) / 88 bhp (1.2L petrol engine)
Mileage/Range
250-315 km (claimed range)
24.35 kmpl (1.0L petrol)
Safety (GNCAP Rating)
4-star
1-star
Boot Space
240 liters
341 liters
Transmission
Single-speed automatic
5-speed manual/automatic
Seating Capacity
5
5
Dimensions (L x W x H)
3769 x 1677 x 1536 mm
3655 x 1620 x 1675 mm
Wheelbase
2400 mm
2435 mm
Ground Clearance
170 mm
165 mm
Charging
6-8 hours (standard) / 57 minutes (DC fast charging)
Not applicable
Fuel Type
Electric
Petrol/CNG
Infotainment
7-inch touchscreen, Android Auto, Apple CarPlay
Basic, optional 7-inch infotainment unit
Top Speed
120-140 km/h
Approx. 140 km/h
To overall milazulkar ke Tata tiago jyada accha package hai.