Yamaha Mt 15 ek popular streetfighter motorcycle hai jo apne aggressive styling aur peppy performance ke liye jana jata hai. So if you want to modify your Yamaha MT 15 this is a perfect guide for you. Yaha par bataunga ki aap Yamaha MT modification me kya-kya kar sakte hai. This is a Yamaha MT 15 modification guide.
Har motorcycle me bahut sare modifications kiya ja sakta hai jaise ki visual modifications aur performance modification. Performance aur visual modifications ke alawa safety aur comfort me bhi modification kiya ja sakta hai. Aur har rider apne pasand aur jarurat ke anusar apne hisab se motorcycle modify kar sakta hai. Kyuki ye ek process hai jisme ek rider apne bike ko apne personality ke sath match karane ke sochta hai.
5 Things you should know about Aprilia Tuono 457
Yamaha MT 15 Modification
Ab humlog Yamaha MT 15 Modification visual enhancement ke sath karenge.
- Exhaust System Upgrade- Lekin ye karna India me illegal hai. Lekin agr phir bhi aap exhaust system upgrade karte hai to iske bahut sare fayde hai. Jaiske ki- isse motorcycle ki sound bahut jyada improve ho jati hai batane ki jarurat nhi hai. Isse motorcycle visually appealing bhi ho jata hai aur sath slight performance boost bhi mil sakta hai. Aftermarket exhaust ke liye aap Akrapovic, Yoshimura aur SC project jaise brands ke sath ja sakte hai.
- Tail Tidy- Agr aap ye karate hai to bulky stock fender rear ka hata sakte hai isse motorcycle ko clean aur sporty look milta hai. Tail tidy karane se license plate holder hat jata hai, to is bat ka dhyan apko rakhna parega. Tail Tidy jo hai wo one of the best Yamaha MT 15 Modification hai. You should definitely go for this.
- Bar end Mirrors- Jyadatr riders ko stock mirrors pasand nhi hote hai. To iske liye aap bar end mirrors laga sakte hai. Isse visibility improve ho jati hai aur sath me motorcycle ki aesthetics bhi improve hoti hai.
Ye to hui Yamaha MT 15 visual Modification, aap apne taste ke anusar dusare modifications bhi kar sakte hai. Aab humlog performance modifications ke bare me bat kar lete hai jo aap apne Yamaha MT 15 ke sath kar sakte hai.
- ECU Remapping- Performance modification me sabse pahala kam ECU remapping hota hai. Kyuki isi se major performance improvement dekhne ko milega. ECU remapping karane se motorcycle ki performance badh jati hai, apki motorcycle pahle se jayada power aur torque produce karne lagti hai. So this falls under one of the best Yamaha MT 15 Modification you can do. Par ye thora costly parta hai.
- Aftermarket Air filter- Agr aap stock air filter nikal kar highflow aftermarket air filter lagate hai to isse engine me airflow accha hota hai aur you can experience slight improvement in power.
- Performance clutch- Agr aap apne Yamaha MT 15 me high load par clutch slippage mahusus karte hai to aap ko apne motorcycle me performance clutch install karani chahiye. Ye clutch engagement ko improve karta hai aur sath slippage ko bhi reduce karta hai.
- Adjustable levers- Adjustable levers ergonomics aur comfort ko improve karta hai. Isse aap apne motorcycle ke levers ko apne palm aur finger size ke anusar adjust kar sakte hai.
To ye sari bike modification kara sakte hai motorcycle performance improve karne ke liye. Yamaha MT 15 Modification me apko comfort aur convenience ka bhi dhyan rakhna chahiye, kyuki ye ek streetfighter motorcycle hai to yaha par comfort compromise ho jata hai. Let’s see comfort ke liye KYA Yamaha MT 15 Modification kiya ja sakta hai.
- Tank Pad- Tank pad lagane ka bahut fayda hai, sabse pahle ye tank ko scratches se bachata hai aur better grip offer karta hai, to ye bilkul must hai.
- Seat Cover- Yamaha MT 15 owner sabse bara problem hai iska seating comfort to isko thik karne ke liye aap stock seat ko custom seat ke sath replace kar sakte hai. Isse long rides par comfort improve ho jata hai.
- Handlebar Riser- Agr aap ek tall rider hai to aap apne MT 15 me handle riser install karwa sakte hai. Ye apke seating/riding posture ko improve karega jisse apke kalai par strain kam parega.
- Phone Mount- Ye optional hai, lekin install karwa sakte hai. Ye Yamaha MT 15 Modification unlogo ke liye jayada achha hai jo log gps navigation ka istemal jyada karte hai.
Now let’s talk about the safety upgrades you can do to your MT 15.
- Crash Protectors- Agr apki motorcycle unfortunately gir jati hai to ye crash protector major damage hone se bachata hai.
- Brake & Clutch lever protector- Ye bhi bahut kam ki cheez hai, agr aap kabhi side se crash karte hai to ye apke finger aur brake & clutch lever ko protect karne me madad karta hai.
To aap generally in modifications ko kara sakte hai, iske alawa aap custom paint job bhi kara sakte hai, apne taste ke anusar. MT 15 modification me bahut kuch kiya ja sakta hai, ye jyadatr rider par depend karta hai.
Yamaha MT 15 modification accessories
If you can’t decide what Yamaha MT 15 accessories to choose. Here is a list of some MT 15 modification accessories you can purchase.
Agr aap Yamaha MT 15 par long ride plan kar rahe hai to apko ek acche saddle stay me invest jarur karna chahiye.
- Saddle Stay- Ye MT 15 ke liye aftermarket accessory hai. Jiski madad se aap apne motorcycle par saddlebags ya koi dusra luggage ko attach kar sakte hai. Iski madad se aap long rides me extra luggage carry kar sakte hai.
- Aero Canards- Yamaha MT 15 modification accessories me ye bahut jyda popular hai. Ye bhi aftermarket accessory hi hai. Ye is motorcycle me aesthetics ko improve karne ke liye riders lagate hai. Isse apki motorcycle visually appealing lagegi.
- Frame slider- Ye ek important safety accessory hai, jo sabhi motorcycle me lagana chahiye n ki sirf MT 15 me. Ye apke motorcycle ko protect karta hai if you fall. Ise engine ke pas lagaya jata to agr apki motorcycle girti hai to sabse pahle yahi par impact aata hai. Isse expensive part safe rhte hai jaise ki engine case, fairings aur handlebar. So this is a good investment.
Iske alawa bhi bahut sare accessory hai jise aap apne motorcycle me install kar sakte hai, jo apke motorcycle ki performance, safety aur aesthetics improve kar sakte hai. Ye sare parts apko aftermarket hi kharidne parenge kyuki ye company fitted nhi hote hai. Koi bhi modification karne se pahle legal aspects ko bhi dhyan me rakhe, kyuki India me generally kisi bhi trh ke modification ko RTO approve nhi karti hai.
Aap Mt 15 accessories ko local market ya online marketplaces se kharid sakte hai.