APRILIA TUONO 457 ka global premiere EICMA 2024, ko Itlay me hua tha, aur APRILIA TUONO 457 January 2025 me India me launch ho sakta hai. APRILIA RS 457 already India me sale ho rahi hai log ise pasand bhi kar rahe hai. Apirilia RS 457 ki trh dusare motorcycle bhi India me available hai jaise ki, Yamaha Yzf R3 aur KTM RC 390. They all belong to same segment.
Let’s talk about this motorcycle from Aprilia.
Ye motorcycle bhi Aprilia RS 457 ki trh twin-beam aluminium chassis par based. RS 457 race oriented motorcycle whi APRILIA TUONO 457 bold aur distinctive streetfighter design ke sath aata hai jiske wjh se iska road presence bahut hi accha hai.
Agr iske design ke bare me bat kiya jaye to, iske body me sharp edge dekhne ko milega, aur bodywork kafi minimal hai. Is motorcycle ko aggresive look dene ke liye Aprilia ne boomrang style me LED DRLs diye hai. It has got single pod headlight design. Aur iske fuel tank design ki wjh se ise muscular stance bhi milta hai. Aur ek bat ki APRILIA ne iske tail section ko redesign kiya hai.
Overall, APRILIA TUONO 457 modern style aur performance ka perfect match hai. Performace ke bare me abhi thori der me bat karenge. Aab iske engine ke bare me bat kar lete hai.
APRILIA TUONO 457: Engine
Dekhiye isme 457 cc ka DOHC parallel-twin, liquid cooled engine hai, jo 47.58 PS ki power produce karti hai 9400 rpm par aur 43.5 Nm ka torque 6700 rpm par. Ye engine kafi pucnchy and you already know that APRILIA is known for its performace, and it is a high revving engine.
Is motorcycle ka power to weight ration accha hone ki wjh se ye motorcycle matlab ki thrilling ride experience offer karta hai. Inhi sari cheezo ki wjh se ye motorcycle global market me acchi pakr rkhti hai, au yr aab India me bhi launch hone ja rahi hai.
APRILIA TUONO 457: Features
You already know that it has powerful high revving engine and offers good power delivery. What about other features.
So it has, ride by wire throttle, different riding modes jaise ki, Eco, sport aur rain. alg alg riding condition ke liye. Isme 17-inch ke wheels honge aur tyres milenge Eurogrip Protorque extreme tyres. Is tyres ki wjh se APRILIA TUONO 457 jo hai wo accha grip ke sath performance aur stablity bhi offer karega.
Aur dusare features bhi hai jaise ki traction control system, quick shifter, anti-roll system, all LED setups, 5-inch TFT Digital instrument cluster aur isme abs bhi jo batane ki zarurat nhi hai.
Iska jo chassis hai wo lightweight steel tubular frame se bana hai jiski wjh ye APRILIA TUONO 457 lightweight aur agile ho jata hai. Iske upright siting postion ki wjh se long aur short rides dono ke liye comfortable rahta hai.
Whi agr suspension ki bat ki jaye to isme Up side down front forks aur rear me monoshock suspension aur iski wjh se ride aur bhi comfortable ban jata hai.
Category
Details
Engine
457cc liquid-cooled, twin-cylinder engine
Power Output
Expected around 47 HP (official details yet to confirm)
Upright riding position, comfortable for commuting and spirited rides
Design
Aggressive streetfighter aesthetics, muscular fuel tank
Price (Expected)
₹4-4.5 lakh (ex-showroom, India)
Launch
Expected January 2025 (India)
APRILIA TUONO 457: Pricing
Apirilia ne RS 457 ko India me bahut competitive price ke sath launch kiya tha. Aur yhi same strategy APRILIA TUONO 457 ke bhi launch me bhi dekhne ko mil jayega. APRILIA TUONO 457 ki expected ex-showromm price 3.75 lakh INR ho sakti hai jo RS 457 se 3500 rupaye km hai. Halanki launch hone ke bad hi exact pricing ka pata chal payega.
APRILIA TUONO 457 India me launch hone ke bad, Yamaha R3, KTM 390 Duke aur BMW G310 R jaise naked motorcycle se compete karegi.
Ab dekhna ye hai ki ye Italian motorcycle Indian riders ko pasand aata hai ya nhi, Apirilia RS 457 ki trh. Baki aap is motorcycle ke bare me kya sochte hai comment me jarur bataye.